Showing posts with label Mohammad Rafi Sahab. Show all posts
Showing posts with label Mohammad Rafi Sahab. Show all posts

27 December 2012

Shirdi Wale Sai Baba - Mohammad Rafi Sahab


Aaaaaaaa...
Zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai
Tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai

Tareef teri nikli hai dil se
Aayi hai lab pe ban ke qawaali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Chorus:
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Lab pe duayen aakhon main aansoon
Dil main umeedein par jholi khali
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Chorus:
Dar pe sawali, aaya hai dar pe sawali

Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Chours:
Ooo...

O mere sai deva tere sab naam lewa
Chours:
O mere sai deva tere sab naam lewa

Juda insaan saare sabhi, tujhko hain pyaare
Sune fariyaad sabki, tujhe hai yaad sabki
Bada ya koi chhota, nahi mayoos lauta
Ameeron ka sahara, gareebon ka guzara
Teri rahmat ka kissa bayan akbar kare kya
Do din ki duniya, duniya hai gulshan
Sab phool kaante, too sab ka malik

Chorus:
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Khuda ki shaan tujhme
Dikhe bhagwaan tujhme

Chorus:
Khuda ki shaan tujhme
Dikhe bhagwaan tujhme

Tujhe sab maante hain
Tera ghar jaante hain
Chale aate hain daude
Jo khush kismat hain thode
Yeh har rahi ki manzil
Yeh har kashti ka sahil
Jise sab ne nikala
Use toone sambhala

Chorus:
Jise sab ne nikala
Use toone sambhala

Too bichhdon ko milaye
Bujhe deepak jalaye

Chorus:
(Too bichhdon ko milaye
Bujhe deepak jalaye) -2

Yeh gam ki raatein, raatein yeh kaali
Inko banade id aur diwali

Chorus:
Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali

Lab pe duayen aakhon main aansoon
Dil main umeedein par jholi khali

Chorus:
(Shirdi wale sai baba
Aaya hai tere dar pe sawali) -4x

Tumne pukaaraa aaur hum chale aaye - Mohammad Rafi Sahab


Tumne pukaaraa aaur hum chale aaye
dil hathelee par le aaye re
tum ne pukaaraa aaur hum chale aaye
jaan hathelee par le aaye re

aao baithho humaare pahaloo mein panaah le lo
meree jalatee huyee aakhon pen ye aankhe rakh do
aye mere pyaar ke khwaabon kee haseen shahajaadee
honthh kyo kaanp rahe hai, jaraa kuchh to bolo
tum ne pukaaraa aaur hum chale aaye
jaan hathelee par le aaye re

aaj khelo meree julfon se, ijaajat hain tumhe
muz ko chhoo lo, meree nas nas mein sharaare bhar do
mere diladaar, meree aakhon mein rahane waale
mai tumhaaree hoo, meree maang mein taaren bhar do
tum ne pukaaraa aaur hum chale aaye
dil hathelee par le aaye re

naam raushan hain tum hee se mere afasaane kaa
jindagee naam hain ulafat mein jiye jaane kaa
tum agar hum ko naa milate to ye soorat hotee
log le jaate janaajaa tere diwaane kaa
tum ne pukaaraa aaur hum chale aaye
jaan hathelee par le aaye re

Dil Ke Jharoke Mein Tujko Bithakar - Mohammad. Rafi Sahab


Dil Ke Jharoke Mein Tujko Bithakar
Yadoon Ko Teri Maein Dulhan Banakar
Rakhoonga Maein Dil Ke Paas
Mat Ho Meri Jaan Udaas,
Dil Ke Jharoke...

Kal Tere Jalwe Paraye Bhi Honge
Lekin Jhalak Mere Khwabon Mein Hogi
Phoolon Ki Doli Mein Hogi Tu Rukhsat
Lekin Mehak Meri Sanson Mein Hogi,
Dil Ke Jharoke...

Ab Bhi Tere Surkh Hothon Ke Pyale
Mere Tassavur Mein Saki Baney Hain
Ab Bhi Teri Zulf Ke Mast Saye
Birha Ki Dhoop Mein Sathi Baney Hain,
Dil Ke Jharoke...

Meri Mohabbat Ko Thukra De Chahe
Maein Koi Tujhse Na Shikva Karoonga
Aankhon Mein Rehti Hai Tasveer Teri
Sari Umar Teri Pooja Karoonga,

Popular Posts

folkfguitartabs@ Proudly. Powered by Blogger.